kahi door bhaag jaane ko jee karta hai
apne aapse door jane ko jee karta hai
har pal ki ye udaasi nahi
kabhi jee bhar ke jeene ko jee karta hai
subaha ka na hai pata, na pata kab dhali ye shaam hai
pal pal ki bekaar shikayato mein din nikal jata hai
kabhi ek din, ek din ke saat rehene ko jee karta hai
har pal ki ye udaasi nahi
kabhi jee bhar ke jeene ko jee karta hai
door door tak bheed bhaad hai, na kahi shanti hai
dhoovan dhoovan hai har kahi, na kahi sukoon hai
kabhi ek pal prakrathi ke saath rehene ko jee karta hai
har pal ki ye udaasi nahi
kabhi jee bhar ke jeene ko jee karta hai
har pal har din sab ek se hai, na zindagi mein koi josh hai
zindagi to bas yun hi kat rahi hai, na koi parivartan hai
kabhi ek baar apne junoon ko jeene ko jee karta hai
har pal ki ye udasi nahi
kabhi jee bhar ke jeene ko jee karta hai
kahi door bhaag jaane ko jee karta hai
apne aapse door jaane ko jee karta hai
har pal ki ye udaasi nahi
kabhi jee bhar ke jeene ko jee karta hai
apne aap se door
is duniya se door
apne aap ko poori taraha se jeene ko
jee karta hai
No comments:
Post a Comment