zinda hoon main

gum ki agar koi aanch na ho zindagi mein, to
khush rehne ka kya matlab
roya nahi main kabhi bhi , to
hasne ka kya matlab
bina dard ke to zinda rehne ka kya matalb?

dard se hi hota hai zindagi ka ehsaas
ek boond aansu se banti hai hasi ki aukaat
toote dil se badkar
jaanta kaun hai mohabbat

raaste agar aasaan ho to safar ka kya matlab
faasle na ho to nazdeekiyon ka kya matlab
manzil ho sang to hamsafar ka kay matalb?

dard se hi hota hai zindagi ka ehsaas
ek boond aansu se banti hai hasi ki aukaat
toote dil se badkar
jaantha kaun hai mohabbat

gum ke aangan mein, khush hoon main
dard ke sang rehte, hasta hoon main
toota hai dil,raaste hai kaaton se bhare
,door hai manzil, fir bhi
usee manzil ki talaash mein, zinda hoon main
!

my lifz a dream

meri duniya hai sapnon ki
har pal ek sapna main jeeta hoon
sapnon mein hi main jeeta hoon.

meri duniya hai sapnon ki...

kuch chaahe aur kuch anchaahe sapnein
kabhi khushi to kabhi gum le aate hai ye sapne
har ek sapne ko jeebhar ke jeeta hoon
har pal ek sapna main jeeta hoon
sapnon mein hi main jeeta hoon.

meri duniya hai sapnon ki...

kuch mein hai kal ki khatti meethi yaadein aur
kuch mein, naye kal ki ummeedein
kuch hai chupe ghoongat ki aad mein, aur
kuch aanchal ki godh mein
har ek sapne ko apna banaate chalta hoon
har pal ek sapna main jeeta hoon
sapnon mein hi main jeeta hoon.

meri duniya hai sapnon ki...

kuch base hai aankhon mein aur, kuch dil ki gehraaion mein
kabhi apne hain to kabhi paraaye hai ye sapne
ek ek sapne mein apni jaan daalta raha hoon
har pal ek sapna main jeeta hoon
sapno mein hi main jeeta hoon.

meri duniya hai sapnon ki
har pal ek sapna main jeeta hoon
sapnon mein hi main jeeta hoon.

i am

I am what I am
since I am
and will be what I am
till I am

no matter you like it or not
may be annoying to the crowd
so what?
I am what I am

dates change, life change ppl in my life change
but still
I am what I am

I made 100 relations and broke out of few
still many new relation everryday
but still I am the same
I am what I am

I am what I am
since I am
and will be what I am
till I am

hhope

sapno se yahan koi sauda nahi hota,
na hota hai
poora armaan aarzu se,

koshish se hamesha kaamayabi nahi milti,

na milthi hai hamesha kushi accha hone par,

raaste hai yahan sheeeshe se banti,
khadam hai apne yahan
ladkhadaate,

is jung mein rukvat to kai sare hai
ummeed hai ki kabhi nahi toot ti.


Dreams don buy business here in this world,
wish don get you the wished,
efforts may not yield results every time,
being good do not help all the time,
life in here is uncertain,

but
Hope never dies ..

beetein lamhein

dard se dil roz tootta hai, fir bhi
hum dard ko seene se laga rakhte hain!
beetin yaadein khokla bana rahi hai hamein, fir bhi
un saari yaadon ko zehen mein sambhaal rakhte hain!

duniya to ek maut se ghabara jaati hai, par
hum har pal mar mar ke jeete hain !
ek pyaar ne humaari zindagi tabah kardi hai, par
hum baar baar usee pyar ko doharaate hain !!