zinda hoon main

gum ki agar koi aanch na ho zindagi mein, to
khush rehne ka kya matlab
roya nahi main kabhi bhi , to
hasne ka kya matlab
bina dard ke to zinda rehne ka kya matalb?

dard se hi hota hai zindagi ka ehsaas
ek boond aansu se banti hai hasi ki aukaat
toote dil se badkar
jaanta kaun hai mohabbat

raaste agar aasaan ho to safar ka kya matlab
faasle na ho to nazdeekiyon ka kya matlab
manzil ho sang to hamsafar ka kay matalb?

dard se hi hota hai zindagi ka ehsaas
ek boond aansu se banti hai hasi ki aukaat
toote dil se badkar
jaantha kaun hai mohabbat

gum ke aangan mein, khush hoon main
dard ke sang rehte, hasta hoon main
toota hai dil,raaste hai kaaton se bhare
,door hai manzil, fir bhi
usee manzil ki talaash mein, zinda hoon main
!

No comments: